Main Zard Aag Na Pani Ke Sard Dar Mein Raha
main zard aag na pani ke sard Dar mein raha
raha to soi hui KHak ke KHatar mein raha
wo gard-baad ki dil ki zaban ka zaiqa hai
nazar-ufuq pe huwaida hua na sar mein raha
ki shamil is mein meri larzish-e-KHayal bhi thi
jo asl chhoD ke main aks ke asar mein raha
tere libas pe ho us ki wapsi ki chamak
jo ek umr tere KHun ke asar mein raha
ghira tha chaaron taraf dhoD ki qanat sa main
magan zamana kisi naqsh-e-tar-ba-tar mein raha
us ek lamhe ki gum-gashtagi pe KHush hain sabhi
jo hashr ban ke mere sang-e-be-sharar mein raha
ye shahr zinda hai lekin har ek lafz ki lash
jahan kahin se uThi shor mere ghar mein raha
chapatiyan thin bandhi peT par magar shab-bhar
ubharta Dubta main bhuk ke bhanwar mein raha
kahan se kaise kise kaun le uDa tha 'zafar'
jo aadhi raat ko raula sa dasht o dar mein raha
(1315) Peoples Rate This