Main Bhi Sharik-e-marg Hun Mar Mere Samne
main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne
meri sada ke phul bikhar mere samne
aaKHir wo aarzu mere sar par sawar thi
lae the jis ko KHak-ba-sar mere samne
kahte nahin hain us ka suKHan mere aas pas
dete nahin hain us ki KHabar mere samne
aage baDhun to zard ghaTa mere ru-ba-ru
pichhe muDun to gard-e-safar mere samne
main KHud kisi ke KHun ki aandhi hun in dinon
uDti hui hawa se na Dar mere samne
aankhon mein rakh Dal ke nikla hun sair ko
shaKHon pe nachte hain sharar mere samne
tari hai ek sukut 'zafar' KHak-o-KHisht par
jari hai baadalon ka safar mere samne
(1304) Peoples Rate This