Lab Pe Takrim-e-tamanna-e-subuk-pai Hai
lab pe takrim-e-tamanna-e-subuk-pai hai
pas-e-diwar wahi silsila-paimai hai
taKHta-e-lala ki har sham-e-farozan jaane
kis bhulawe mein mujhe dekh ke lahrai hai
KHak-dar-KHak chhupi hai meri aankhon ki chamak
jis KHarabe mein teri anjuman-arai hai
apne hi panw ki aawaz se Dar jata hun
main hun aur rah-guzar-e-besha-e-tanhai hai
phir sar-e-subh kisi dard ke dar wa karne
dhan ke khet se ek mauj-e-hawa aai hai
(1302) Peoples Rate This