Kufr Se Ye Jo Munawwar Meri Peshani Hai
kufr se ye jo munawwar meri peshani hai
zahir is se bhi mera jazba-e-imani hai
ye jo yaksui mayassar hai mujhe sham o sahar
sar-ba-sar mere liye wajh-e-pareshani hai
is kinare pe faqat main hun akela KHali
nahr ke dusri jaanib meri hairani hai
KHak uDti hai to har-su mere andar warna
jis taraf main hun wahan chaaron taraf pani hai
jo siyah-fam hai andar ki taraf se jitna
us ke chehre pe yahan utni hi tabani hai
mausamon se abhi mayus nahin hun yaksar
ek hawa hai jo abhi meri taraf aani hai
dil mein kya surat-e-haalat hai khulta nahin kuchh
kya kami hai yahan kis shai ki farawani hai
ye ajab tarha ka bazar-e-suKHan hai ki jahan
main hi nayab hun aur meri hi arzani hai
aazmaish mein hi rakhta hun sada KHud ko 'zafar'
meri mushkil hi sarasar meri aasani hai
(1142) Peoples Rate This