Kuchh Sabab Hi Na Bane Baat BaDha Dene Ka
kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka
khel khela hua ye us ko bhula dene ka
apne hi samne diwar bana baiTha hun
hai ye anjam use raste se haTa dene ka
yunhi chup chap guzar jaiye in galiyon se
yahan kuchh aur hi matlab hai sada dene ka
rasta rokna maqsad nahin kuchh aur hai ye
darmiyan mein koi diwar uTha dene ka
aane walon ko tariqa mujhe aata hai bahut
jaane walon ke taaqub mein laga dene ka
ek maqsad to hua DhunDna us ko har-su
lutf hi aur hai pane se ganwa dene ka
ek hunar pas tha apne so nahin ab wo bhi
jo dikhai nahin deta hai dikha dene ka
sab ko malum hai aur hausla rakhta hun abhi
apne likkhe hue ko KHud hi miTa dene ka
TuT paDti hai qayamat koi pahle hi 'zafar'
qasd karta hun jo fitne ko jaga dene ka
(1253) Peoples Rate This