Kuchh Dinon Se Jo Tabiat Meri Yaksu Kam Hai

kuchh dinon se jo tabiat meri yaksu kam hai

dil hai bhar-pur magar aankh mein aansu kam hai

tujhe ghere mein liye rakhte hain kuchh aur hi log

yani tere liye ye halqa-e-bazu kam hai

toD jaise hai koi apne hi andar is ka

warna aisa bhi nahin hai tera jadu kam hai

main in aafat-e-samawi pe karun kyun takiya

kya meri sari tabahi ke liye tu kam hai

rang-e-mausam hi mohabbat ka diya jis ne bigaD

shahr bhar ke liye kya ek hi bad-KHu kam hai

peD ki chhanw pe karti hai qanaat kyun KHalq

aur kyun sab ke liye saya-e-gesu kam hai

zindagi hai wahi sad-rang mere chaaron taraf

kuchh dinon se magar is ka koi pahlu kam hai

wo bhi jaane se hawa phirta hai bahar aur kuchh

dil pe apna bhi kai rose se qabu kam hai

shairi chhoD bhi sakta nahin main warna 'zafar'

jaanta hun is andhere mein ye jugnu kam hai

(1249) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Dinon Se Jo Tabiat Meri Yaksu Kam Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kuchh Dinon Se Jo Tabiat Meri Yaksu Kam Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kuchh Dinon Se Jo Tabiat Meri Yaksu Kam Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kuchh Dinon Se Jo Tabiat Meri Yaksu Kam Hai in PDF.