Kisi Nai Tarha Ki Rawani Mein Ja Raha Tha
kisi nai tarha ki rawani mein ja raha tha
charagh tha koi aur pani mein ja raha tha
ruka hua tha wo qafila to magar abhi tak
ghubar apni hi be-karani mein ja raha tha
mujhe KHabar thi wo kya karega suluk mujh se
so main ba-zahir to KHush-gumani mein ja raha tha
main tangi-e-dil se KHush nahin tha isi sabab se
makan se bahar ki la-makani mein ja raha tha
tum apni masti mein aan Takrae mujh se yak-dam
idhar se main bhi to be-dhyani mein ja raha tha
teri rukawaT se bhi mere panw kaise rukte
ki main kisi aur sar-girani mein ja raha tha
mere liye ajnabi tha sailab-e-KHwab mein wo
jo lafz chup-chap mauj-e-mani mein ja raha tha
suKHan se bimar kyun na hota main aaKHir apne
ki lutf sara to KHush-bayani mein ja raha tha
'zafar' mere KHwab waqt-e-aKHir bhi taza-dam the
ye lag raha tha ki main jawani mein ja raha tha
(1200) Peoples Rate This