Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9f5de33bb87c4ac0e1f57267cff51966, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-hawasi Ka - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

KHushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-hawasi Ka

KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka

ki dhyan hi na raha gham ki be-libasi ka

chamak uThe hain jo dil ke kalas yahan se abhi

guzar hua hai KHayalon ki dew-dasi ka

guzar na ja yunhi ruKH pher kar salam to le

hamein to der se dawa hai ru-shanasi ka

KHuda ko man ki tujh lab ke chumne ke siwa

koi ilaj nahin aaj ki udasi ka

gire paDe hue patton mein shahr DhunDta hai

ajib taur hai is jangalon ke basi ka

(1863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-hawasi Ka In English By Famous Poet Zafar Iqbal. KHushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-hawasi Ka is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem KHushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-hawasi Ka for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download KHushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-hawasi Ka in PDF.