Khinch Lai Hai Yahan Lazzat-e-azar Mujhe
khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe
jahan pani na mile aaj wahan mar mujhe
dhup zalim hi sahi jism tawana hai abhi
yaad aaega kabhi saya-e-ashjar mujhe
sal-ha-sal se KHamosh the gahre pani
ab nazar aae hain aawaz ke aasar mujhe
bagh ki qabr pe rote hue dekha tha jise
nazar aaya wahi saya sar-e-diwar mujhe
gir ke sad para hua abr mein aTka hua chand
sar pe chadar si nazar aai shab-e-tar mujhe
sans mein tha kisi jalte hue jangal ka dhuan
sair-e-gulzar dikhate rahe bekar mujhe
raat ke dasht mein TuTi thi hawa ki zanjir
subh mahsus hui ret ki jhankar mujhe
wahi jama ki mere tan pe na Thik aata tha
wahi inam mila aaqibat-e-kar mujhe
jab se dekha hai 'zafar' KHwab-e-shabistan-e-KHayal
bistar-e-KHak pe sona hua dushwar mujhe
(1199) Peoples Rate This