KhiDkiyan Kis Tarah Ki Hain Aur Dar Kaisa Hai Wo
khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo
sochta hun jis mein wo rahta hai ghar kaisa hai wo
kaisi wo aab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans
aata jata hai wo jis par rahguzar kaisa hai wo
kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman
chhanw hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo
ek nazar mein hi nazar aa jaega wo sar-ba-sar
phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo
main to us ke ek ek lamhe ka rakhta hun shumar
aur mere haal-e-dil se be-KHabar kaisa hai wo
us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi
kya sarokar is se hai mujh ko 'zafar' kaisa hai wo
(1594) Peoples Rate This