KHamushi Achchhi Nahin Inkar Hona Chahiye
KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye
ye tamasha ab sar-e-bazar hona chahiye
KHwab ki tabir par israr hai jin ko abhi
pahle un ko KHwab se bedar hona chahiye
Dub kar marna bhi uslub-e-mohabbat ho to ho
wo jo dariya hai to us ko par hona chahiye
ab wahi karne lage didar se aage ki baat
jo kabhi kahte the bas didar hona chahiye
baat puri hai adhuri chahiye ai jaan-e-jaan
kaam aasan hai ise dushwar hona chahiye
dosti ke nam par kije na kyunkar dushmani
kuchh na kuchh aaKHir tariq-e-kar hona chahiye
jhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar'
aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye
(2861) Peoples Rate This