KhaDi Hai Sham Ki KHwab-e-safar Ruka Hua Hai

khaDi hai sham ki KHwab-e-safar ruka hua hai

yaqin kyun nahin aata agar ruka hua hai

guzarne wale the jo bhi guzar gae lekin

miyan-e-rah koi be-KHabar ruka hua hai

baras raha hai na chhaTta hai ye kai din se

jo ek abr meri KHak par ruka hua hai

rawan bhi silsial-e-ashk hai abhi kuchh kuchh

ye qafila jo kahin besh-tar ruka hua hai

abhi nikal nahin sakta gharon se koi yahan

ki sail-e-ab abhi dar-ba-dar ruka hua hai

har ek shai hai kisi rakh mein badalne ko

kahin jo KHana-e-KHas mein sharar ruka hua hai

chali hui thi meri baat jitne zoron se

usi hisab se is ka asar ruka hua hai

pahunch sake kisi manzil pe kya musafir-e-dil

ki chal raha hai ba-zahir magar ruka hua hai

ye harf o saut karishme hain sab usi ke 'zafar'

lahu ke sath ragon mein jo Dar ruka hua hai

(1155) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhaDi Hai Sham Ki KHwab-e-safar Ruka Hua Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. KhaDi Hai Sham Ki KHwab-e-safar Ruka Hua Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem KhaDi Hai Sham Ki KHwab-e-safar Ruka Hua Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download KhaDi Hai Sham Ki KHwab-e-safar Ruka Hua Hai in PDF.