Kaisi Ruki Hui Thi Rawani Meri Taraf

kaisi ruki hui thi rawani meri taraf

Thahra hua tha apna hi pani meri taraf

tahrir mein bhi jo wo misal apni aap hai

paigham bhejta hai zabani meri taraf

patton ka rang tha ki hua aur bhi hara

chalti rahi hawa-e-KHizani meri taraf

hai koi aasman mein jis ki taraf se rose

aati hai ek yaad-dahani meri taraf

lafzon ka bojh rahta hai sar par shabana rose

rahti hai guftugu ki girani meri taraf

kirdar us ko DhunDte phirte hain ja-ba-ja

gum aa ke ho gai hai kahani meri taraf

the us ki dastaras mein ajaib to besh-tar

bheji na us ne koi nishani meri taraf

rahta hai lafz lafz koi shor mujh se dur

karti hai zor mauj-e-maani meri taraf

jab koi bhi nahin hai to phir raat bhar 'zafar'

hota hai kaun aake bayani meri taraf

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Ruki Hui Thi Rawani Meri Taraf In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kaisi Ruki Hui Thi Rawani Meri Taraf is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kaisi Ruki Hui Thi Rawani Meri Taraf for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kaisi Ruki Hui Thi Rawani Meri Taraf in PDF.