Kabhi Awwal Nazar Aana Kabhi AaKHir Hona
kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona
aur waqfon se mera ghaeb o hazir hona
main kisi aur zamane ke liye hun shayad
is zamane mein hai mushkil mera zahir hona
main na hone pe hi KHush tha magar aise hua phir
mujh ko na-chaar paDa aap ki KHatir hona
dur ho jaun bhi is bagh-e-badan se lekin
kahin mumkin hi nahin aise manazir hona
waqai tum ko dikhai hi nahin deta hun
ya zarurat hai tumhaari mera munkir hona
rasta aap banana hi koi sahl nahin
phir usi raste ka aap musafir hona
wo maqamat-e-muqaddas wo tere gumbad o qaus
aur mera aise nishanat ka zaer hona
baadalon aur hawaon mein uDa phirta main
kash hota meri taqdir mein tair hona
kaam nikla hai kuchh utna hi ye pechida 'zafar'
jitna aasan nazar aaya mujhe shaer hona
(1183) Peoples Rate This