Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3b7295cac314113bf05cb1587913d1e8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe

kab wo zahir hoga aur hairan kar dega mujhe

jitni bhi mushkil mein hun aasan kar dega mujhe

ru-ba-ru kar ke kabhi apne mahakte surKH honT

ek do pal ke liye gul-dan kar dega mujhe

ruh phunkega mohabbat ki mere paikar mein wo

phir wo apne samne be-jaan kar dega mujhe

KHwahishon ka KHun bahaega sar-e-bazar-e-shauq

aur mukammal be-e-sar-o-saman kar dega mujhe

munhadim kar dega aa kar sari tamiraat-e-dil

dekhte hi dekhte viran kar dega mujhe

ek na-maujudgi rah jaegi chaaron taraf

rafta rafta is qadar sunsan kar dega mujhe

ya to mujh se wo chhuDa dega ghazal-goi 'zafar'

ya kisi din sahab-e-diwan kar dega mujhe

(1169) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe in PDF.