Jo Banda-e-KHuda Tha KHuda Hone Wala Hai
jo banda-e-KHuda tha KHuda hone wala hai
kya kuchh abhi to jalwa-numa hone wala hai
ye bhi durust hai ki payambar nahin hun main
hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai
kuchh ashk-e-KHun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein
jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai
wo waqt hai ki KHalq pe har zulm-e-na-rawa
allah ka nam le ke rawa hone wala hai
ek KHauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin
ek KHwab hai ki sab se juda hone wala hai
rang-e-hawa mein hai ajab asrar sa koi
koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai
KHush tha siyah-KHana-e-dil mein bahut lahu
is qaid se magar ye riha hone wala hai
ye tir aaKHiri hai bas us ki kaman mein
aur wo bhi dekh lena KHata hone wala hai
ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar'
ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai
(1306) Peoples Rate This