Jism Ke Regzar Mein Sham-o-sahar Sada Karun
jism ke regzar mein sham-o-sahar sada karun
manzil-e-jaan to dur hai tai yahi fasla karun
ye jo rawan hain chaar-su itne dhuen ke aadmi
kis liye chob-e-sabz ko aag se aashna karun
qaid kare to aap hai qaid sahe to aap hai
main kise rokta phirun aur kise riha karun
raat ruki hai aan kar zard safed ghas par
lakh suKHan hai darmiyan kis se kise juda karun
shaKH hili to Dar gaya dhup khili to mar gaya
kash kabhi to jite ji subh ka samna karun
(1111) Peoples Rate This