Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f5d073a95cf4864fcaada75ceb7fe40f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Ne Nafrat Hi Mujhe Di Na Zafar Pyar Diya - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Jis Ne Nafrat Hi Mujhe Di Na Zafar Pyar Diya

jis ne nafrat hi mujhe di na 'zafar' pyar diya

main ne sab kuchh use kyun haar diya war diya

ek nazar nisf nazar shoKH ne Dali dil par

aur is dasht ko pairaya-e-gulzar diya

waqt zae na karo hum nahin aise waise

ye ishaara to mujhe us ne kai bar diya

zinda rakhta tha mujhe shakl dikha kar apni

kahin ru-posh hua aur mujhe mar diya

koi is baat ko taslim kare ya na kare

subh ki sair ne mujh ko dil bimar diya

zardiyan hain mere chehre pe 'zafar' us ghar ki

us ne aaKHir mujhe rang-e-dar-o-diwar diya

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ne Nafrat Hi Mujhe Di Na Zafar Pyar Diya In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Jis Ne Nafrat Hi Mujhe Di Na Zafar Pyar Diya is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Jis Ne Nafrat Hi Mujhe Di Na Zafar Pyar Diya for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Jis Ne Nafrat Hi Mujhe Di Na Zafar Pyar Diya in PDF.