Jaisi Ab Hai Aisi Haalat Mein Nahin Rah Sakta
jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah sakta
main hamesha to mohabbat mein nahin rah sakta
khul ke ro bhi sakun aur hans bhi sakun ji bhar ke
abhi itni bhi faraghat mein nahin rah sakta
dil se bahar nikal aana meri majburi hai
main to is shor-e-qayamat mein nahin rah sakta
kuch kar jaen jahan se mere dushman ai dost
main wahan bhi kisi surat mein nahin rah sakta
koi KHatra hai mujhe aur tarah ka ai dost
main jo ab teri hifazat mein nahin rah sakta
chahiye hai mujhe kuchh aur hi mahaul ki main
aur ab apni rifaqat mein nahin rah sakta
kuchh bhi main karta-karaata to nahin hun lekin
bawajud is ke faraghat mein nahin rah sakta
shak mujhe yun to KHayanat ka nahin hai koi
main kisi ki bhi amanat mein nahin rah sakta
waise rahne ko to KHush-bash hi rahta hun 'zafar'
sach jo puchhen to haqiqat mein nahin rah sakta
(1011) Peoples Rate This