Jahan Nigar-e-sahar Pairahan Utarti Hai

jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai

wahin pe raat sitaron ka khel haarti hai

shab-e-visal tere dil ke sath lag kar bhi

meri luTi hui duniya tujhe pukarti hai

shumar-e-shauq mein uljhi hui shua-e-nazar

hazar ruThte rangon ke rup dhaarti hai

ufuq se phuTte mahtab ki mahak jaise

sukun-e-bahr mein ek lahar si ubhaarti hai

pas-e-daricha-e-dil yaad-e-bu-e-ju-e-nashat

na jaane kab se khaDi kakulen sanwarti hai

dar-e-umid se ho kar nikalne lagta hun

to yas rauzan-e-zindan se aankh marti hai

jahan se kuchh na mile husn-e-mazarat ke siwa

ye aarzu usi chaukhaT pe shab guzarti hai

jo ek jism jalati hai barq-e-abr-e-KHayal

to lakh zang-zada aaine nikhaarti hai

(1211) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Nigar-e-sahar Pairahan Utarti Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Jahan Nigar-e-sahar Pairahan Utarti Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Jahan Nigar-e-sahar Pairahan Utarti Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Jahan Nigar-e-sahar Pairahan Utarti Hai in PDF.