Jahan Mere Na Hone Ka Nishan Phaila Hua Hai
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
samajhta hun ghubar-e-asman phaila hua hai
main is ko dekhne aur bhul jaane mein magan hun
mere aage jo ye KHwab-e-rawan phaila hua hai
inhi do hairaton ke darmiyan maujud hun main
sar-e-ab-e-yaqin aks-e-guman phaila hua hai
rihai ki koi surat nikalni chahiye ab
zamin sahmi hui hai aur dhuan phaila hua hai
koi andaza kar sakta hai kya is ka ki aaKHir
kahan tak saya-e-ahd-e-ziyan phaila hua hai
kahan Dube kidhar ubhre badan ki naw dekhen
ki itni dur tak dariya-e-jaan phaila hua hai
main dil se bhag kar ja bhi kahan sakta hun aaKHir
mere har su ye dasht-e-be-aman phaila hua hai
mujhe kuchh bhi nahin malum aur andar hi andar
lahu mein ek dast-e-raegan phaila hua hai
'zafar' ab ke suKHan ki sarzamin par hai ye mausam
bayan ghaeb hai aur rang-e-bayan phaila hua hai
(1166) Peoples Rate This