Itna Thahra Hua Mahaul Badalna PaD Jae
itna Thahra hua mahaul badalna paD jae
bahar apne hi kinaron se uchhalna paD jae
itna manus bhi hone ki zarurat kya thi
kabhi is KHwab se mumkin hai nikalna paD jae
chhoD jaen jo tumhaare sabhi hote sote
aur kabhi sath hamare tumhein chalna paD jae
dur se dekh ke hum jis ko Dara karte hain
kya maza ho jo isi aag mein jalna paD jae
kya KHabar jis ka yahan itna uDate hain mazaq
KHud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalna paD jae
dil ki ye aab-o-hawa itni muKHalif hai agar
aur inhi mausamon mein phulna-phalna paD jae
kaun kah sakta hai badle hue aasar ke sath
dekha-dekhi hi tabiat ko sambhalna paD jae
e'tibar ek dafa aur bhi karte hue phir
inhen wadon ke khilaunon se bahalna paD jae
shoala majbur ho dariya pe machalne ko 'zafar'
kisi din dasht se chashme ko ubalna paD jae
(1600) Peoples Rate This