Iman Ke Sath KHami-e-iman Bhi Chahiye
iman ke sath KHami-e-iman bhi chahiye
azm-e-safar kiya hai to saman bhi chahiye
kuchh asl to khule kahin is zor-o-shor ki
dariya ke raste mein bayaban bhi chahiye
bhaDka to hai badan mein lahu ka gulab sa
mushkil hai ye ki tangi-e-daman bhi chahiye
us ke nai qamis ke tohfe ka shukriya
lekin yahan to pairahan-e-jaan bhi chahiye
is tirgi mein partaw-e-mahtab-e-ruKH ke sath
kuchh aks-e-aftab-e-gareban bhi chahiye
mushkil-pasand hi sahi main wasl mein magar
ab ke ye marhala mujhe aasan bhi chahiye
kuchh us taraf bhi josh-e-jafa hai naya naya
kuchh zulm apni shan ke shayan bhi chahiye
Darte bhi rahiye us se ki is mein bhi hai maza
lekin kabhi kabhi zara shun-shan bhi chahiye
mashshatagi-e-mana bahut ho chuki 'zafar'
kuchh roz ab ye zulf pareshan bhi chahiye
(1255) Peoples Rate This