Humne Aawaz Na Di Barg O Nawa Hote Hue
hum ne aawaz na di barg o nawa hote hue
aur milne na gae us ka pata hote hue
aankh ke ek ishaare se kiya gul us ne
jal raha tha jo diya itni hawa hote hue
ek patta sa larazta hun sar-e-shaKH-e-guman
apne har-su koi tufan-e-bala hote hue
chal rahe hote hain dhaare kai dariya mein so hum
sab mein shamil bhi rahe sab se juda hote hue
waqt par aa ke baras to gae baadal lekin
der hi lag gai jangal ko hara hote hue
hum bhala dad-e-suKHan kyun nahin chahenge ki wo
aap tarif ka talib hai KHuda hote hue
kuchh hamein bhi KHabar is ki na hui KHas ki hum
kya se kya hote gae asl mein kya hote hue
baat ka aur bhi ho sakta hai matlab aur phir
lafz tabdil bhi hota hai ada hote hue
kya zamana hai ki is gumbad-e-be-dar mein 'zafar'
apni aawaz ko dekha hai fana hote hue
(1213) Peoples Rate This