Hazar Bandish-e-auqat Se Nikalta Hai
hazar bandish-e-auqat se nikalta hai
ye din nahin jo meri raat se nikalta hai
wo raushni mein bhi hota nahin kahin maujud
jo rang mah-e-mulaqat se nikalta hai
mujhe bahut hai jo KHushbu ka ek jhonka sa
kabhi kabhi tere baghat se nikalta hai
isi nawah mein aabaad hun kahin main bhi
dhuan jo mere mazafat se nikalta hai
dil aur tarha ke haalat se ulajhta hua
kuchh aur tarha ke haalat se nikalta hai
subut sara hamare KHilaf bhi ab to
hamare apne bayanat se nikalta hai
jo chaaron samt girani ki hai farawani
to qahat bhi isi buhtat se nikalta hai
wo lahn jis ka sarokar hi nahin mujh se
kabhi to wo bhi meri zat se nikalta hai
'zafar' ye bais-e-tashwish bhi hai sab ke liye
jo matlab aur meri baat se nikalta hai
(1223) Peoples Rate This