Hawa-e-wadi-e-dushwar Se Nahin Rukta
hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta
musafir ab tere inkar se nahin rukta
safina chal jo paDa hai chaDhao par to kabhi
muKHalif aati hui dhaar se nahin rukta
mera KHayal hai tadbir koi aur hi kar
hujum ab teri talwar se nahin rukta
Thaharna chahe to Thahre ga aap hi warna
hamari koshish-e-bisyar se nahin rukta
ab is ke sath hi bah jaiye ki ye sailab
KHas-o-KHumar ke ambar se nahin rukta
rawan jo hai safar-e-manzil-e-sada har-chand
ye qafila mere mear se nahin rukta
ye aise log hain aadat paDi hui hai jinhen
ye mal sardi-e-bazar se nahin rukta
musafirat mein jo haare na hausla rahi
to lutf-e-saya-e-ashjar se nahin rukta
hamara ishq rawan hai rukawaTon mein 'zafar'
ye KHwab hai kisi diwar se nahin rukta
(1307) Peoples Rate This