Hawa Badal Gai Us Bewafa Ke Hone Se
hawa badal gai us bewafa ke hone se
wagarna KHalq to KHush thi KHuda ke hone se
KHabar nahin mujhe matlub aur kya hai ki main
zyaada KHush nahin arz o sama ke hone se
hamesha bar-sar-e-paikar hun kahin na kahin
mujhe ilaqa nahin bach-bacha ke hone se
ye shola dil se alag ho ke bhi nikal aaya
kuchh aag phail gai hai hawa ke hone se
ye shahr kuchh bhi mazafat ke baghair nahin
wajud asl mein hai mawara ke hone se
judai chhoDti rahti hai wasl ki KHushbu
main zinda rahta hun aksar qaza ke hone se
main purza purza paDa hun jahan-tahan har samt
KHafa sabhi hain mere ja-ba-ja ke hone se
zaruraten hi meri ho nahin rahin puri
ruka hai qafila ek be-nawa ke hone se
jo rah gai hai ye ek aanch ki kasar to 'zafar'
wo zar-gari thi kisi kimiya ke hone se
(1130) Peoples Rate This