Hamein Bhi Matlab-o-mani Ki Justuju Hai Bahut
hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut
harif-e-harf magar ab ke du-ba-du hai bahut
waqar ghar ki tawazo hi par nahin mauquf
ba-faiz-e-shairi bahar bhi aabru hai bahut
phaTe purane dilon ki KHabar nahin leta
agarche jaanta hai hajat-e-rafu hai bahut
badan ka sara lahu khinch ke aa gaya ruKH par
wo ek bosa hamein de ke surKH-ru hai bahut
idhar udhar yun hi munh marte bhi hain lekin
ye mante bhi hain dil se ki hum ko tu hai bahut
ab us ki did mohabbat nahin zarurat hai
ki us se mil ke bichhaDne ki aarzu hai bahut
yahi hai be-sar-o-pa baat kahne ka mauqa
pata chalega kise shor chaar-su hai bahut
ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak
sada mein dhup bahut hai lahu mein lu hai bahut
yahi hai fikr kahin man hi na jaen 'zafar'
hamare mojaza-e-fan pe guftugu hai bahut
(1197) Peoples Rate This