Hamare Sar Se Wo Tufan Kahin Guzar Gae Hain
hamare sar se wo tufan kahin guzar gae hain
chaDhe hue the jo dariya sabhi utar gae hain
rahe nahin hain kabhi ek haal par qaem
simaT gae hain kabhi aur kabhi bikhar gae hain
usul hai ki KHala yunhi rah nahin sakta
hue hain KHud se jo KHali so tujh se bhar gae hain
ruke bhi hain to dobara rawangi ke liye
chale bhi hain to kahin rah mein Thahar gae hain
tumhaare ahd-e-taghaful mein ji rahe hain abhi
hua hai kuchh tumhein hasil na hum hi mar gae hain
nikal paDe to phir apna suragh mil na saka
tumhaare pas hi pahunche na apne ghar gae hain
wahi hai daera-e-KHwab ibtida-e-safar
usi qadar hue wapas bhi jis qadar gae hain
isi kami ka hai ehsas aur hairani
hain aur to sabhi maujud hum kidhar gae hain
'zafar' hamari mohabbat ka silsila hai ajib
jahan chhupa nahin pae wahan mukar gae hain
(1096) Peoples Rate This