Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage
hai aur baat bahut meri baat se aage
zamin zarra hai is kaenat se aage
ek aur silsila-e-hadsat hai raushan
is ek silsila-e-hadsat se aage
hawa-e-aks-e-bahaar-o-KHizan nahin hai faqat
agar nigah karo phul pat se aage
ye hum jo peT se hi sochte hain sham o sahar
kabhi to jaenge is dal-bhat se aage
kuchh aur tarah ke atraf muntazir hain kahin
uThaen zahmat agar shash-jahat se aage
na rok pae taghayyur ki tez tughyani
jo band bandhne aae sabaat se aage
kuen mein baiTh ke hi TarTara gae kuchh din
nazar paDa nahin kuchh apni zat se aage
is aab o rang se bahar bhi ek tamasha hai
chale-chalo jo nazar ki sifat se aage
'zafar' ye din to natija hai raat ka yaksar
kuchh aur DhunDta rahta hun raat se aage
(1200) Peoples Rate This