Had Ho Chakki Hai Sharm-e-shakebai KHatm Ho
had ho chakki hai sharm-e-shakebai KHatm ho
behtar hai ab dua ki pazirai KHatm ho
lenge hisab mujh se abhi lafz lafz ka
yani zara ye anjuman-arai KHatm ho
dekha hai is nawah mein wo kuchh ki ai KHuda
ab to yahi dikha ki ye binai KHatm ho
mumkin hai muntazir ho koi KHak-e-KHush-KHisal
shayad kahin ye sahil-e-ruswai KHatm ho
hai dud KHak-dar bahut pak ho hawa
pani hai zer-e-bar bahut kai KHatm ho
KHush-rang mein ghula hua bad-rang ho juda
aur shor mein chhupi hui tanhai KHatm ho
apne muqabil aap hi aa jaunga kabhi
tang aa chuka hun ab meri yaktai KHatm ho
aakar wo meri baat sune aur jawab de
gar yun nahin to phir ye shanasai KHatm ho
bazar-e-bosa tez se hai tez-tar 'zafar'
ummid to nahin ki ye mahngai KHatm ho
(1107) Peoples Rate This