Girne Ki Tarah Ka Na Sambhalne Ki Tarah Ka
girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka
sara wo safar KHwab mein chalne ki tarah ka
barish ki bahut tez hawa mein kahin mujh ko
darpesh tha ek marhala jalne ki tarah ka
ek chand ubharne ki tarah ka mere bahar
suraj mere andar koi Dhalne ki tarah ka
aisa hai ki rahta hai sada sath bhi us ke
manzar koi poshak badalne ki tarah ka
uDti hui si ret wahi dasht mein har-su
pani wahi dariya mein uchhalne ki tarah ka
kaisi ye KHizan chhai hai mujh mein ki sarasar
mausam hai wahi phulne phalne ki tarah ka
kya dil ka bharosa hai ki is aab o hawa mein
waise hi ye pauda nahin palne ki tarah ka
malum bhi tha mujh ko magar bhul chuka hun
rasta koi jangal se nikalne ki tarah ka
main to yahi samjha 'zafar' is bar bhi shayad
mujh par ye bura waqt hai Talne ki tarah ka
(938) Peoples Rate This