Ek Hi Naqsh Hai Jitna Bhi Jahan Rah Jae
ek hi naqsh hai jitna bhi jahan rah jae
aag uDti phire har-su ki dhuan rah jae
kuchh gharaz is se nahin rizq-e-gada ho ki na ho
kucha-o-rah mein aawaz-e-sagan rah jae
ye safar wo hai ki itna bhi ghanimat hai agar
apne ham-rah yahi KHak rawan rah jae
aur kuchh rose ruke sust lahu ka mausam
aur kuchh der yahi rang-e-KHizan rah jae
aaj kal us ki tarah hum bhi hain KHali KHali
ek do din use kahiyo ki yahan rah jae
kuchh to rah jae tag-o-taz talab mein baqi
wahm apna rahe ya us ka guman rah jae
wo tamanna hun ki dil se na guzar ho jis ka
wo tamasha hun ki nazron se nihan rah jae
ye bhi ek marhala-e-saKHt hai ai sahab-e-tarz
ki bayan ki jagah andaz-e-bayan rah jae
nam to phir bhi baDi baat hai duniya mein 'zafar'
ye bhi kya kam hai jo kuchh apna nishan rah jae
(1046) Peoples Rate This