Ek Hi Bar Nahin Hai Wo Dobara Kam Hai
ek hi bar nahin hai wo dobara kam hai
main wo dariya hun jise apna kinara kam hai
wahi takrar hai aur ek wahi yaksani
is shab-o-roz mein ab apna guzara kam hai
mere din raat mein karna nahin ab is ko shumar
hissa-e-umr koi main ne guzara kam hai
main ziyaada hun bahut us ke liye ab tak bhi
aur mere liye wo sare ka sara kam hai
us ki apni bhi tawajjoh nahin mujh par koi KHas
aur main ne bhi abhi us ko pukara kam hai
aaj pani jo uchhalta nahin pahle ki tarah
aisa lagta hai ki is mein koi dhaara kam hai
hath pair aap hi main mar raha hun filhaal
Dubte ko abhi tinke ka sahaara kam hai
main to rakhta hun bahut rose ke rose in ka hisab
aasman par koi aaj ek sitara kam hai
pesh-raft aur abhi mumkin bhi nahin hai ki 'zafar'
abhi us shoKH pe kuchh zor hamara kam hai
(1150) Peoples Rate This