Din Par Soch Sulagti Hai Ya Kabhi Raat Ke Bare Mein
din par soch sulagti hai ya kabhi raat ke bare mein
koi baat nikal aati hai kaenat ke bare mein
ek dusre se kab sare sayyare Takraate hain
pur-ummid bahut hun aise hadsat ke bare mein
kuchh sahta hun guzarte hue zamane ke lamhon ki saza
kuchh kahta hun na-mumkin se mumkinat ke bare mein
sote jagte uThte baiThte apne hi jhagDe nahin kam
aur kai zaton ki uljhan ek zat ke bare mein
hairat ka ek apna husn bhi hai larza dene wala
koi pareshani nahin us ke nabaatat ke bare mein
ghalat-salat sab ke apne apne andaze hain warna
kuchh bhi nahin kaha ja sakta kisi baat ke bare mein
jab tak wo pahli tarjih rahega sab KHairiyat hai
mausam ko hai tamam aagahi phul pat ke bare mein
qatre ki pahchan hi dariya mein gum ho jaana hai kabhi
kaisa josh-o-KHarosh hai us ki mulaqat ke bare mein
dil mein koi chiz chamakti bujhti rahti hai jo 'zafar'
fikrmand bhi rahta hun main usi dhat ke bare mein
(1328) Peoples Rate This