Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d36ee759de7c6fdcd8e4e9ae8890cd75, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ka Ye Dasht Arsa-e-mahshar Laga Mujhe - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Dil Ka Ye Dasht Arsa-e-mahshar Laga Mujhe

dil ka ye dasht arsa-e-mahshar laga mujhe

main kya bala hun raat baDa Dar laga mujhe

aage bhi ishq mein huin ruswaiyan magar

ab ke wafa ka zaKHm jabin par laga mujhe

ai dil wo mehrban hai yunhi bad-guman na ho

mara tha us ne ghair ko patthar laga mujhe

har su tere wajud ki KHushbu thi KHema-zan

wo din ki apna ghar bhi tera ghar laga mujhe

hans kar na Tal ja ki ye ummid ki kiran

wo tir hai ki sine ke andar laga mujhe

tariki-e-hayat ka andaza kar ki aaj

dagh-e-shikast mahr-e-munawwar laga mujhe

sanche to the ghazal ke siwa bhi magar 'zafar'

kya jaane kyun ye zarf hasin-tar laga mujhe

(2031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ka Ye Dasht Arsa-e-mahshar Laga Mujhe In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Dil Ka Ye Dasht Arsa-e-mahshar Laga Mujhe is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Dil Ka Ye Dasht Arsa-e-mahshar Laga Mujhe for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Dil Ka Ye Dasht Arsa-e-mahshar Laga Mujhe in PDF.