Dekho To Kuchh Ziyan Nahin Khone Ke Bawajud

dekho to kuchh ziyan nahin khone ke bawajud

hota hai ab bhi ishq na hone ke bawajud

shayad ye KHak mein hi samane ki mashq ho

sota hun farsh par jo bichhaune ke bawajud

karta hun nind mein hi safar sare shahr ka

farigh to baiThta nahin sone ke bawajud

hoti nahin hai meri tasalli kisi tarah

rone ka intizar hai rone ke bawajud

pani to ek umr se mujh par hai be-asar

maila hun jaise aur bhi dhone ke bawajud

bojhal to main kuchh aur bhi rahta hun raat din

saman-e-KHwab raat ko Dhone ke bawajud

thi pyas to wahin ki wahin aur main wahan

KHush tha zara sa honT bhigone ke bawajud

ye kimiya-gari meri apni hai is liye

main rakh hi samajhta hun sone ke bawajud

Darta hun phir kahin se nikalen na sar 'zafar'

main us ko apne sath Dubone ke bawajud

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekho To Kuchh Ziyan Nahin Khone Ke Bawajud In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Dekho To Kuchh Ziyan Nahin Khone Ke Bawajud is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Dekho To Kuchh Ziyan Nahin Khone Ke Bawajud for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Dekho To Kuchh Ziyan Nahin Khone Ke Bawajud in PDF.