Chamke Ga Abhi Mere KHayalat Se Aage
chamke ga abhi mere KHayalat se aage
wo naqsh ki tha dagh-e-mulaqat se aage
lagta hai ki mushkil hai abhi din ka nikalna
hai raat koi aur bhi is raat se aage
is wahm se wapas nahin palTa hun ki hoga
kuchh aur bhi is KHwab-e-tilismat se aage
aaram se pichhe wo haTa deta hai mujh ko
baDhta hun agar us ki hidayat se aage
dauran-e-safar karta hun aaram bhi lekin
hota hun Thaharne ke maqamat se aage
uqda isi KHatir koi hota hi nahin hal
hain sare sawalat jawabaat se aage
aagah kiya hai to hue aur bhi ghafil
waqif jo nahin the mere haalat se aage
ho sakta hai kya koi bhala un ke barabar
rahte hain jo KHud apne bayanat se aage
itna bhi bahut hai jo 'zafar' qahat-e-nawa mein
nikli hai koi baat meri baat se aage
(1170) Peoples Rate This