Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-e-sahra Khila Hai

chamakti wusaton mein jo gul-e-sahra khila hai

koi kah de agar pahle kabhi aisa khila hai

azal se gulshan-e-hasti mein hai maujud bhi wo

magar lagta hai jaise aaj hi taza khila hai

baham kaise hue hain dekhna KHwab aur KHushbu

guzarte mausamon ka aaKHiri tohfa khila hai

lahu mein ek alag andaz se mastur tha wo

sar-e-shaKH-e-tamasha aur bhi tanha khila hai

kahan KHak-e-madina aur kahan KHakistar-e-dil

kahan ka phul tha lekin kahan par aa khila hai

kabhi dil par giri thi shabnam-e-ism-e-mohammad

meri har sans mein kaliyon ka majmua khila hai

yahi rauzan banega ek din diwar-e-jaan mein

mere dil mein nidamat ka jo ek lamha khila hai

yahin tak lai hai ye zindagi bhar ki masafat

lab-e-dariya hun main aur wo pas-e-dariya khila hai

bikharta ja raha hai dur tak rang-e-judai

'zafar' kya puchhte ho zaKHm-e-dil kaisa khila hai

(1243) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-e-sahra Khila Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-e-sahra Khila Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-e-sahra Khila Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-e-sahra Khila Hai in PDF.