Chalo Itni To Aasani Rahegi
chalo itni to aasani rahegi
milenge aur pareshani rahegi
isi se raunaq-e-dariya-e-dil hai
yahi ek lahar tufani rahegi
kabhi ye shauq na-manus hoga
kabhi wo shakl anjaani rahegi
nikal jaegi surat aaine se
hamare ghar mein hairani rahegi
subuk-sar ho ke jina hai koi din
abhi kuchh din giran-jaani rahegi
sunoge lafz mein bhi phaDphaDahaT
lahu mein bhi par-afshani rahegi
hamari garm-guftari ke ba-wasf
hawa itni hi barfani rahegi
abhi dil ki siyahi zor par hai
abhi chehre pe tabani rahegi
'zafar' main shahr mein aa to gaya hun
meri KHaslat bayabani rahegi
(1269) Peoples Rate This