Binai Se Bahar Kabhi Andar Mujhe Dekhe
binai se bahar kabhi andar mujhe dekhe
mumkin hi nahin hai wo barabar mujhe dekhe
ho jae kabhi raat mere dam se bhi raushan
wo shama-e-tamasha jo ghaDi-bhar mujhe dekhe
main KHud mein to maujud hi mushkil se rahunga
har dekhne wala mere bahar mujhe dekhe
DhunDe koi mujh ko to isi KHak-e-hawas mein
ya silsila-e-sail-e-hawa par mujhe dekhe
mahaul hi kuchh ho chaman-e-KHwab ka aisa
bulbul mujhe samjhe to gul-e-tar mujhe dekhe
ab dekhna hi shart ye Thahri hai ki yun ho
main manzar-e-nayab ko manzar mujhe dekhe
dariya ki pazirai mein shak to nahin lekin
ek lahar ho aisi bhi ki uTh kar mujhe dekhe
main bar digar hi kahin aata hun samajh mein
jo dekhna chahe so mukarrar mujhe dekhe
mera nazar aana hai 'zafar' baat hi kuchh aur
jo dekh nahin sakta wo aksar mujhe dekhe
(1150) Peoples Rate This