Bikhar Bikhar Gae Alfaz Se Ada Na Hue
bikhar bikhar gae alfaz se ada na hue
ye zamzame jo kisi dard ki dawa na hue
safar mein gosh bar aawaz tha har ek zarra
khula tha samne sahra hamein sada na hue
nai hawa mein mahak hai purane patton ki
jo KHak ho gae par shaKH se juda na hue
hawa ke sath kai ashk se uDe to sahi
kisi to retili miTTi ka aab-o-dana hue
ghazal mein the bahut aazada-ru 'zafar' lekin
talazumat ki zanjir se riha na hue
(1161) Peoples Rate This