Bijli Giri Hai Kal Kisi UjDe Makan Par
bijli giri hai kal kisi ujDe makan par
rone lagun ki hans paDun is dastan par
wo qahr tha ki raat ka patthar pighal paDa
kya aatishin gulab khila aasman par
ek naqsh sa nikharta rahega nigah mein
ek harf sa larazta rahega zaban par
apne liye hi aankh ka parda hun raat din
main warna aashkar hun sare jahan par
sher aa ke chir phaD gaya mujh ko KHwab mein
dam-bhar ko meri aankh lagi thi machan par
pyasi hai ruh jism sharabor hai to kya
be-kar meinh barasta raha saeban par
pili hawa mein KHun ka zarra uDa hi tha
pagal hua ye shahr zara se nishan par
KHali paDi hain bed ki bimar kursiyan
KHun-KHwab-dhup-dhund barasti hai lawn par
kis taza marke pe gaya aaj phir 'zafar'
talwar taq mein hai na ghoDa hai than par
(1466) Peoples Rate This