Bhul BaiTha Tha Magar Yaad Bhi KHud Maine Kiya

bhul baiTha tha magar yaad bhi KHud main ne kiya

wo mohabbat jise barbaad bhi KHud main ne kiya

noch kar phenk diye aap hi KHwab aankhon se

is dabi shad ko nashad bhi KHud main ne kiya

jal phailae the jis ke liye chaaron jaanib

us giraftar ko aazad bhi KHud main ne kiya

kaam tera tha magar mare murawwat ke use

tujh se pahle bhi tere baad bhi KHud main ne kiya

shahr mein kyun meri pahchan hi baqi na rahi

is KHarabe ko to aabaad bhi KHud main ne kiya

har naya zaiqa chhoDa hai jo auron ke liye

pahle apne liye ijad bhi KHud main ne kiya

inkisari mein mera hukm bhi jari tha 'zafar'

arz karte hue irshad bhi KHud main ne kiya

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhul BaiTha Tha Magar Yaad Bhi KHud Maine Kiya In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Bhul BaiTha Tha Magar Yaad Bhi KHud Maine Kiya is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Bhul BaiTha Tha Magar Yaad Bhi KHud Maine Kiya for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Bhul BaiTha Tha Magar Yaad Bhi KHud Maine Kiya in PDF.