Bas Ek Bar Kisi Ne Gale Lagaya Tha

bas ek bar kisi ne gale lagaya tha

phir us ke baad na main tha na mera saya tha

gali mein log bhi the mere us ke dushman log

wo sab pe hansta hua mere dil mein aaya tha

us ek dasht mein sau shahr ho gae aabaad

jahan kisi ne kabhi karwan luTaya tha

wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle

ki jin se main ne KHud apna suragh paya tha

mere wajud se gulzar ho ke nikli hai

wo aag jis ne tera pairahan jalaya tha

mujhi ko tana-e-ghaarat-gari na de pyare

ye naqsh main ne tere hath se miTaya tha

usi ne rup badal kar jaga diya aaKHir

jo zahr mujh pe kabhi nind ban ke chhaya tha

'zafar' ki KHak mein hai kis ki hasrat-e-tamir

KHayal-o-KHwab mein kis ne ye ghar banaya tha

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Bar Kisi Ne Gale Lagaya Tha In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Bas Ek Bar Kisi Ne Gale Lagaya Tha is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Bas Ek Bar Kisi Ne Gale Lagaya Tha for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Bas Ek Bar Kisi Ne Gale Lagaya Tha in PDF.