Bahut Suljhi Hui Baaton Ko Bhi Uljhae Rakhte Hain

bahut suljhi hui baaton ko bhi uljhae rakhte hain

jo hai kaam aaj ka kal tak use laTkae rakhte hain

taghaful sa rawa rakhte hain us ke samne kya kya

magar andar hi andar taba ko lalchae rakhte hain

hamari justuju se dur-tar hai manzil-e-mani

usi ko khoe rakhna hai jise hum pae rakhte hain

hamari aarzu apni samajh mein bhi nahin aati

pajama is tarah ka hai jise ulTae rakhte hain

hawaen bhul kar bhi is taraf ka ruKH nahin kartin

so ye shaKH-e-tamasha aap hi tharrae rakhte hain

isi ki raushni hai aur isi mein bhasm hona hai

ye shola sham ka jo raat bhar bhaDkae rakhte hain

hum itni raushni mein dekh bhi sakte nahin us ko

so apne aap hi is chand ko gahnae rakhte hain

nasheb-e-shairi mein hai hamari zat se raunaq

yahi patthar hai jis ko raat din luDhkae rakhte hain

ye ghar jis ka hai us ne wapas aana hai 'zafar' is mein

isi KHatir dar-o-diwar ko mahkae rakhte hain

(1271) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Suljhi Hui Baaton Ko Bhi Uljhae Rakhte Hain In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Bahut Suljhi Hui Baaton Ko Bhi Uljhae Rakhte Hain is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Bahut Suljhi Hui Baaton Ko Bhi Uljhae Rakhte Hain for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Bahut Suljhi Hui Baaton Ko Bhi Uljhae Rakhte Hain in PDF.