Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1dfc10a046fa2798426da56c74add929, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai

baat aisi bhi koi nahin ki mohabbat bahut ziyaada hai

lekin hum donon se us ki taqat bahut ziyaada hai

aap ke pichhe pichhe phirne se to rahe is umr mein hum

rah pe aa baiThe hain ye bhi ghanimat bahut ziyaada hai

ishq udasi ke paigham to lata rahta hai din raat

lekin hum ko KHush rahne ki aadat bahut ziyaada hai

kaam to kafi rahta hai lekin karna hai kis ne yahan

be-shak rose idhar aa niklo fursat bahut ziyaada hai

kya kuchh ho na saka hum se aur hone wala hai kya kuchh

hasrat bhi kafi hai lekin hairat bahut ziyaada hai

sair hi karke aa jaenge phir bazar-e-tamasha ki

jis shai ko bhi hath lagaen qimat bahut ziyaada hai

us ki tawajjoh hasil ki aur bich mein sab kuchh chhoD diya

hikmat jitni bhi ho is mein himaqat bahut zyaada hai

ishq hai kis ko yaad ki hum to Darte hi rahte hain sada

husn wo jaisa bhi hai us ki dahshat bahut zyaada hai

ek chiz jo apni rasai se bahar hai kahin 'zafar'

sach puchho to is ki hamein zarurat bahut zyaada hai

(1459) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai in PDF.