Apne Inkar Ke Bar-aks Barabar Koi Tha
apne inkar ke bar-aks barabar koi tha
dil mein ek KHwab tha aur KHwab ke andar koi tha
hum pasine mein sharabor the aur dur kahin
aise lagta hai kahin taKHt-e-hawa par koi tha
us ke baghat pe utra hua tha mausam-e-rang
qabil-e-did har ek samt se manzar koi tha
shak agar tha bhi to miTta gaya hote hote
aur ab puKHta yaqin hai ki sarasar koi tha
is dil-e-tang mein kya us ki rihaish hoti
yani andar to nahin tha mere bahar koi tha
shakl kuchh yaad hai kuchh bhul chuki hai us ki
koi din the ki mukammal mujhe azbar koi tha
daere mein kabhi rakkha hi nahin us ne qadam
aur mohabbat ke mazafat mein aksar koi tha
main use chhoD ke KHud hi chala aaya tha kabhi
aur ab puchhta phirta hun mera ghar koi tha
yawa-go tha 'zafar' is ahd-e-KHarabi mein koi
yawa-go hi use kahte hain suKHan-war koi tha
(1112) Peoples Rate This