Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_339470d0a82833bf1880ede277617f18, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajab Koi Zor-e-bayan Ho Gaya Hun - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Ajab Koi Zor-e-bayan Ho Gaya Hun

ajab koi zor-e-bayan ho gaya hun

ruka hun to phir se rawan ho gaya hun

bahut gard uDne lagi mere pichhe

akela hi main karwan ho gaya hun

sabhi mere hone pe KHush ho rahe hain

mujhe bhi batao kahan ho gaya hun

kinare nikal aae hain mere andar

ba-zahir to main be-karan ho gaya hun

kisi kaam se shadman hote hote

kisi baat se bad-guman ho gaya hun

kisi ke liye waqia hun yahan par

kisi ke liye dastan ho gaya hun

main bahar to mahfuz tha har tarah se

ghar aaya hun aur be-aman ho gaya hun

jo paDne lagi thi bahut meri qimat

hun sharminda aur raegan ho gaya hun

'zafar' kaam lun ab ishaaron se kab tak

zaban toD kar be-zaban ho gaya hun

(1309) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Koi Zor-e-bayan Ho Gaya Hun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ajab Koi Zor-e-bayan Ho Gaya Hun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ajab Koi Zor-e-bayan Ho Gaya Hun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ajab Koi Zor-e-bayan Ho Gaya Hun in PDF.