Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d7a3101da77beb98804a6d335ef18180, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Agar Kabhi Tere Aazar Se Nikalta Hun - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Agar Kabhi Tere Aazar Se Nikalta Hun

agar kabhi tere aazar se nikalta hun

to apne daera-e-kar se nikalta hun

hawa-e-taza hun rukna nahin kahin bhi mujhe

gharon mein ghusta hun ashjar se nikalta hun

kabhi hai us ke mazafat mein numud meri

kabhi main apne hi aasar se nikalta hun

main ghar mein jab nahin hota to ghas ki surat

daricha o dar-o-diwar se nikalta hun

isi kinara-e-dariya-e-zat par har-dam

ghurub hota hun us par se nikalta hun

widaa karti hai rozana zindagi mujh ko

main roz maut ke manjdhaar se nikalta hun

ruka hua koi sailab hun tabiat ka

hamesha tundi-e-raftar se nikalta hun

ise bhi kuchh meri himmat hi jaaniye jo kabhi

KHayal-o-KHwab ke ambar se nikalta hun

libas bechta hun ja ke pahle apna 'zafar'

to kuchh KHarid ke bazar se nikalta hun

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Kabhi Tere Aazar Se Nikalta Hun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Agar Kabhi Tere Aazar Se Nikalta Hun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Agar Kabhi Tere Aazar Se Nikalta Hun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Agar Kabhi Tere Aazar Se Nikalta Hun in PDF.